zarurat-e-rishta
hamāre laal ko darkār hai vahī laḌkī
ki jis kā baap police meñ ho kam se kam deputy
jo puurī kar sake hasrat hamāre beTe kī
papīhā pyaar kā kahnā hai har ghaḌī pī-pī
sharāb o raqs se raġhbat juue kī aadat hai
ye ġhunda-gardī nahīñ ḳhāndānī shaukat hai
kamar ḳhamīda hai itnī ki miim lagtā hai
vo āshiqoñ kī mohabbat meñ team lagtā hai
vo ahmaqoñ kī sabhā meñ fahīm lagtā hai
ḳhudā ke fazl se aadhā yatīm lagtā hai
mizāj-e-yār laḌakpan se āshiqāna hai
ḳhudā kā shukr hai andhā nahīñ hai kaanā hai
nahār-muñh ka.ī filmoñ ke naam letā hai
phir is ke ba.ad kaleje ko thaam letā hai
club meñ jā ke mohabbat ke jaam letā hai
vo maarā aql kā kab is se kaam letā hai
kare hai sāmnā DaT kar hazār ḳhatroñ kā
vo sarġhana hai mohalle ke jeb-katroñ kā
budhū ke vāste pāThak ke ghar bhī jaatā hai
qarol-bāġh ke chakkar bhī vo lagātā hai
jahāñ bhī jaatā hai māyūs luuT aatā hai
marīz-e-ishq hai sote meñ baḌbaḌātā hai
ilaaj kar liye sab desī o bidesī ke
hakīm thak ga.e tāqat ke pharmacy ke
ye us kī āḳhirī ḳhvāhish hai jo ki puurī ho
vo dasvīñ fail hai laḌkī magar p.hd ho
frij ho fan ho motor ho aur T.v ho
chalegī laḌkī vo puurī ho yā adhūrī ho
hazār fāqoñ meñ zaa.il na tandurustī ho
ye shart bhī hai zarūrī ki laal jantī ho
dulhan jo dil kī faqat dil se baat kahtī hai
vafāt-e-jazba-e-dil ko hayāt kahtī ho
patī ke zulm-o-sitam ko najāt kahtī ho
agar vo din ko kahe raat raat kahtī ho
fasāna pyaar kī bātoñ ko vo banā Daale
ḳhamoshī shart hai chāhe patī jalā Daale
hamare lal ko darkar hai wahi laDki
ki jis ka bap police mein ho kam se kam deputy
jo puri kar sake hasrat hamare beTe ki
papiha pyar ka kahna hai har ghaDi pi-pi
sharab o raqs se raghbat jue ki aadat hai
ye ghunda-gardi nahin KHandani shaukat hai
kamar KHamida hai itni ki mim lagta hai
wo aashiqon ki mohabbat mein team lagta hai
wo ahmaqon ki sabha mein fahim lagta hai
KHuda ke fazl se aadha yatim lagta hai
mizaj-e-yar laDakpan se aashiqana hai
KHuda ka shukr hai andha nahin hai kana hai
nahaar-munh kai filmon ke nam leta hai
phir is ke baad kaleje ko tham leta hai
club mein ja ke mohabbat ke jam leta hai
wo mara aql ka kab is se kaam leta hai
kare hai samna DaT kar hazar KHatron ka
wo sarghana hai mohalle ke jeb-katron ka
budhu ke waste paThak ke ghar bhi jata hai
qarol-bagh ke chakkar bhi wo lagata hai
jahan bhi jata hai mayus luT aata hai
mariz-e-ishq hai sote mein baDbaData hai
ilaj kar liye sab desi o bidesi ke
hakim thak gae taqat ke pharmacy ke
ye us ki aaKHiri KHwahish hai jo ki puri ho
wo daswin fail hai laDki magar phd ho
frij ho fan ho motor ho aur Tw ho
chalegi laDki wo puri ho ya adhuri ho
hazar faqon mein zail na tandurusti ho
ye shart bhi hai zaruri ki lal janti ho
dulhan jo dil ki faqat dil se baat kahti hai
wafat-e-jazba-e-dil ko hayat kahti ho
pati ke zulm-o-sitam ko najat kahti ho
agar wo din ko kahe raat raat kahti ho
fasana pyar ki baaton ko wo bana Dale
KHamoshi shart hai chahe pati jala Dale
- Book : kulliyat-e-saghar khyaamii (Pg. 330)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.