zindagi hai muKHtalif jazbon ki hamwari ka nam
zindagī hai muḳhtalif jazboñ kī hamvārī kā naam
aadmī hai shaljam aur gājar kī tarkārī kā naam
ilm almārī kā maktab chār-dīvārī kā naam
'milTan' ik laTThā hai 'momin'-ḳhān pansārī kā naam
us ne kī pahle-pahal paimā.ish-e-sahrā-e-najd
qais hai dar-asl ik mash.hūr panvāḌī kā naam
ishq harjā.ī bhī ho to dard kam hotā nahīñ
ik zarā tabdīl ho jaatā hai bīmārī kā naam
muddatoñ nā-dīda nā-dīda nazar se dekhnā
ishq bhī hai ik tarah kī chor-bāzārī kā naam
dil ho yā daliyā ho dānā.ī ki bālā.ī zamīr
zindagī hai ba.az ashyā kī ḳharīdārī kā naam
zindagi hai muKHtalif jazbon ki hamwari ka nam
aadmi hai shaljam aur gajar ki tarkari ka nam
ilm almari ka maktab chaar-diwari ka nam
'milTan' ek laTTha hai 'momin'-KHan pansari ka nam
us ne ki pahle-pahal paimaish-e-sahra-e-najd
qais hai dar-asl ek mashhur panwaDi ka nam
ishq harjai bhi ho to dard kam hota nahin
ek zara tabdil ho jata hai bimari ka nam
muddaton na-dida na-dida nazar se dekhna
ishq bhi hai ek tarah ki chor-bazari ka nam
dil ho ya daliya ho danai ki baalai zamir
zindagi hai baz ashya ki KHaridari ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.