aankh khulte gai bahaar afsos
aañkh khulte ga.ī bahār afsos
gul ko dekhā bhī na hazār afsos
jis kī ḳhātir hue kināra-guzīñ
na hue us se ham-kanār afsos
na muārrif na āshnā koī
ham haiñ be-yār-o-be-dayār afsos
be-qarārī ne yūñhī jī maarā
us se nai ahd nai qarār afsos
ḳhuuñ huī dil hī meñ umīd-e-visāl
mar rahe jī ko maar maar afsos
chāra-e-ishtiyāq kuchh na huā
vo na ham se huā do-chār afsos
ik hī gardish meñ us kī āñkhoñ kī
phir gayā ham se rozgār afsos
gor apnī rahī guzargah meñ
na huā yaar kā guzār afsos
muntazir hī ham us ke 'mīr' ga.e
yaañ tak aaya kabhū na yaar afsos
aankh khulte gai bahaar afsos
gul ko dekha bhi na hazar afsos
jis ki KHatir hue kinara-guzin
na hue us se ham-kanar afsos
na muarrif na aashna koi
hum hain be-yar-o-be-dayar afsos
be-qarari ne yunhi ji mara
us se nai ahd nai qarar afsos
KHun hui dil hi mein umid-e-visal
mar rahe ji ko mar mar afsos
chaara-e-ishtiyaq kuchh na hua
wo na hum se hua do-chaar afsos
ek hi gardish mein us ki aankhon ki
phir gaya hum se rozgar afsos
gor apni rahi guzargah mein
na hua yar ka guzar afsos
muntazir hi hum us ke 'mir' gae
yan tak aaya kabhu na yar afsos
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1632
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.