aankhon mein apni raat ko KHunab tha so tha
āñkhoñ meñ apnī raat ko ḳhūnāb thā so thā
jī dil ke iztirāb se betāb thā so thā
aa kar khaḌā huā thā ba-sad-husn-e-jalva-nāk
apnī nazar meñ vo dur-e-nāyāb thā so thā
sāvan hare na bhādoñ meñ ham sūkhe ahl-e-dard
sabza hamārī palkoñ kā sairāb thā so thā
darvesh kuchh ghaTā na baḌhā milk-e-shāh se
ḳhirqa kulāh paas jo asbāb thā so thā
kyā bhārī bhārī qāfile yaañ se chale ga.e
tujh ko vahī ḳhayāl-e-garāñ-ḳhvāb thā so thā
barsoñ se hai tilāvat-o-sajjāda-o-namāz
par mail-e-dil jo sū-e-mai-e-nāb thā so thā
ham ḳhushk-lab jo rote rahe juueñ bah chalīñ
par 'mīr' dasht ishq kā be-āb thā so thā
aankhon mein apni raat ko KHunab tha so tha
ji dil ke iztirab se betab tha so tha
aa kar khaDa hua tha ba-sad-husn-e-jalwa-nak
apni nazar mein wo dur-e-nayab tha so tha
sawan hare na bhadon mein hum sukhe ahl-e-dard
sabza hamari palkon ka sairab tha so tha
darwesh kuchh ghaTa na baDha milk-e-shah se
KHirqa kulah pas jo asbab tha so tha
kya bhaari bhaari qafile yan se chale gae
tujh ko wahi KHayal-e-garan-KHwab tha so tha
barson se hai tilawat-o-sajjada-o-namaz
par mail-e-dil jo su-e-mai-e-nab tha so tha
hum KHushk-lab jo rote rahe juen bah chalin
par 'mir' dasht ishq ka be-ab tha so tha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1103
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.