aankhon se dil talak hain chune KHwan-e-arzu
āñkhoñ se dil talak haiñ chune ḳhvān-e-ārzū
nau-mīdiyāñ haiñ kitnī hī mehmān-e-ārzū
yak-chashm is taraf bhī to kāfir ki tū hī hai
dīn-e-nigāh hasrat-o-īmān-e-ārzū
aaya to aur rang-e-ruḳh-e-yās chal basā
jaane lagā to chalne lagī jān-e-ārzū
is maj.hale ko sair karūñ kab talak ki hai
dast-e-hazār-hasrat-o-dāmān-e-ārzū
pāmāl-e-yās aah kahāñ tak rahūñgā 'mīr'
sar-mashq kyoñ kiyā thā maiñ dīvān-e-ārzū
aankhon se dil talak hain chune KHwan-e-arzu
nau-midiyan hain kitni hi mehman-e-arzu
yak-chashm is taraf bhi to kafir ki tu hi hai
din-e-nigah hasrat-o-iman-e-arzu
aaya to aur rang-e-ruKH-e-yas chal basa
jaane laga to chalne lagi jaan-e-arzu
is majhale ko sair karun kab talak ki hai
dast-e-hazar-hasrat-o-daman-e-arzu
pamal-e-yas aah kahan tak rahunga 'mir'
sar-mashq kyon kiya tha main diwan-e-arzu
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0410
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.