aaram ho chuka mere jism-e-nazar ko
ārām ho chukā mire jism-e-nazār ko
rakkhe ḳhudā jahāñ meñ dil-e-be-qarār ko
paanī pe jaise ġhuncha-e-lālā phire bahā
dekhā maiñ āñsuoñ meñ dil-e-dāġh-dār ko
barsā to mere dīda-e-ḳhūñbār ke huzūr
par ab tak infi.āl hai abr-e-bahār ko
hañstā hī maiñ phirūñ jo mirā kuchh ho iḳhtiyār
par kyā karūñ maiñ dīda-e-be-iḳhtiyār ko
aaya jahāñ meñ dost bhī hote haiñ yak digar
mujh se to dushmanī hī rahī mere yaar ko
sau baar yuuñ to ġhairoñ se karte ho hañs ke baat
kuchh muñh banā raho ho hamārī hī baar ko
sar-gashtagī sivā.e na dekhā jahāñ meñ kuchh
ik umr ḳhizr sair kiyā is dayār ko
kis kis kī ḳhaak ab kī milānī hai ḳhaak meñ
jaatī hai phir nasīm usī rahguzār ko
ai vo koī jo aaj piye hai sharāb-e-aish
ḳhātir meñ rakhiyo kal ke bhī ranj-o-ḳhumār ko
ḳhūbāñ kā kyā jigar jo kareñ mujh ko apnā said
pahchāntā hai sab koī tere shikār ko
qaaf
jiite jī fikr ḳhuub hai varna ye bad-balā
rakkhegā hashr tak tah-o-bālā mazār ko
gar saath le gaḌā tū dil-e-muztarib to 'mīr'
ārām ho chukā tire musht-e-ġhubār ko
aaram ho chuka mere jism-e-nazar ko
rakkhe KHuda jahan mein dil-e-be-qarar ko
pani pe jaise ghuncha-e-lala phire baha
dekha main aansuon mein dil-e-dagh-dar ko
barsa to mere dida-e-KHunbar ke huzur
par ab tak infial hai abr-e-bahaar ko
hansta hi main phirun jo mera kuchh ho iKHtiyar
par kya karun main dida-e-be-iKHtiyar ko
aaya jahan mein dost bhi hote hain yak digar
mujh se to dushmani hi rahi mere yar ko
sau bar yun to ghairon se karte ho hans ke baat
kuchh munh bana raho ho hamari hi bar ko
sar-gashtagi siwae na dekha jahan mein kuchh
ek umr KHizr sair kiya is dayar ko
kis kis ki KHak ab ki milani hai KHak mein
jati hai phir nasim usi rahguzar ko
ai wo koi jo aaj piye hai sharab-e-aish
KHatir mein rakhiyo kal ke bhi ranj-o-KHumar ko
KHuban ka kya jigar jo karen mujh ko apna said
pahchanta hai sab koi tere shikar ko
qaf
jite ji fikr KHub hai warna ye bad-bala
rakkhega hashr tak tah-o-baala mazar ko
gar sath le gaDa tu dil-e-muztarib to 'mir'
aaram ho chuka tere musht-e-ghubar ko
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0385
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.