Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab kuchh maze par aaya shayad wo shoKH-dida

Meer Taqi Meer

ab kuchh maze par aaya shayad wo shoKH-dida

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ab kuchh maze par aaya shāyad vo shoḳh-dīda

    aab us ke post meñ hai juuñ meva-e-rasīda

    āñkheñ milā kabhū to kab tak kiyā karūñ maiñ

    dumbāla-gardī terī ai āhū-e-ramīda

    paanī bhar aaya muñh meñ dekhe jinhoñ ke yā-rab

    ve kis maze ke hoñge lab-hā-e-nā-makīda

    saa.e ko us parī ke lagtā na thā chaman meñ

    maġhrūr kaahe par hai shamshād-e-qad-kashīda

    āñkheñ bichh rahī haiñ ahl-e-nazar yaksar

    chalte hue zamīñ par rakh paañv diida diida

    chal sair karne bhī sub.h āñkheñ kholeñ

    muñh par tire chaman meñ gul-hā-e-nau-damīda

    mehrāb meñ raho na sajda kiyā karo na

    be-vaqt kyā hai taa.at qad ab huā ḳhamīda

    parvāna gird phir kar jal bhī bujhā va-lekin

    ḳhāmosh raat ko thī sham.a-e-zabāñ-burīda

    dekhā mujhe shab-e-gul bulbul ne jo chaman meñ

    bolā mere muñh par kyā kyā dahan-darīda

    qalb-o-kabid to donoñ tīroñ se chhan rahe haiñ

    vo is sitam-kashī par ham se rahe kabīda

    ash.ār-e-'mīr' sab ne chun chun ke likh liye haiñ

    rakkheñge yaad ham bhī kuchh baiteñ chīda chīda

    ab kuchh maze par aaya shayad wo shoKH-dida

    aab us ke post mein hai jun mewa-e-rasida

    aankhen mila kabhu to kab tak kiya karun main

    dumbaala-gardi teri ai aahu-e-ramida

    pani bhar aaya munh mein dekhe jinhon ke ya-rab

    we kis maze ke honge lab-ha-e-na-makida

    sae ko us pari ke lagta na tha chaman mein

    maghrur kahe par hai shamshad-e-qad-kashida

    aankhen hi bichh rahi hain ahl-e-nazar ki yaksar

    chalte hue zamin par rakh panw dida dida

    chal sair karne tu bhi ta subh aankhen kholen

    munh par tere chaman mein gul-ha-e-nau-damida

    mehrab mein raho na sajda kiya karo na

    be-waqt kya hai taat qad ab hua KHamida

    parwana gird phir kar jal bhi bujha wa-lekin

    KHamosh raat ko thi shama-e-zaban-burida

    dekha mujhe shab-e-gul bulbul ne jo chaman mein

    bola ki mere munh par kya kya dahan-darida

    qalb-o-kabid to donon tiron se chhan rahe hain

    wo is sitam-kashi par hum se rahe kabida

    ashaar-e-'mir' sab ne chun chun ke likh liye hain

    rakkhenge yaad hum bhi kuchh baiten chida chida

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1719
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now