Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab wo nahin ki shorish rahti thi aasman tak

Meer Taqi Meer

ab wo nahin ki shorish rahti thi aasman tak

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ab vo nahīñ ki shorish rahtī thī āsmāñ tak

    āshob-e-nāla ab to pahuñchā hai lā-makāñ tak

    bah bhī gayā badan sab ho ke gosht paanī

    ab kārad ai azīzāñ pahuñchī hai ustuḳhvāñ tak

    tasvīr sham.eñ ḳhāmosh jalte haiñ ham

    soz-e-darūñ hamārā aatā nahīñ zabāñ tak

    rote phire haiñ lohū yak umr us galī meñ

    bāġh-o-bahār hai jaave nazar jahāñ tak

    āñkheñ jo rote rote jaatī rahīñ bajā hai

    insāf kar ki koī dekhe sitam kahāñ tak

    be-lutf tere kyūñkar tujh tak pahuñch sakeñ ham

    haiñ sang raah apnī kitne yahāñ se vaañ tak

    ham be-nasīb sar ko patthar se kyoñ na phoḌeñ

    pahuñchā kabhū na jab.ha us sang-e-āstāñ tak

    mānind-e-tair-e-nau-par uTThe jahāñ ga.e ham

    dushvār hai hamārā aanā phir āshiyāñ tak

    tan kaam meñ hamāre detā nahīñ vahī kuchh

    hāzir haiñ 'mīr' ham to apnī taraf se jaañ tak

    ab wo nahin ki shorish rahti thi aasman tak

    aashob-e-nala ab to pahuncha hai la-makan tak

    bah bhi gaya badan ka sab ho ke gosht pani

    ab karad ai azizan pahunchi hai ustuKHwan tak

    taswir ki si shamen KHamosh jalte hain hum

    soz-e-darun hamara aata nahin zaban tak

    rote phire hain lohu yak umr us gali mein

    bagh-o-bahaar hi hai jawe nazar jahan tak

    aankhen jo rote rote jati rahin baja hai

    insaf kar ki koi dekhe sitam kahan tak

    be-lutf tere kyunkar tujh tak pahunch saken hum

    hain sang rah apni kitne yahan se wan tak

    hum be-nasib sar ko patthar se kyon na phoDen

    pahuncha kabhu na jabha us sang-e-astan tak

    manind-e-tair-e-nau-par uTThe jahan gae hum

    dushwar hai hamara aana phir aashiyan tak

    tan kaam mein hamare deta nahin wahi kuchh

    hazir hain 'mir' hum to apni taraf se jaan tak

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0254
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now