agarche jahan maine sab chhan mara
agarche jahāñ maiñ ne sab chhān maarā
vale us kī nāyābī ne jaan maarā
qayāmat ko jurmāna-e-shā.erī par
mire sar se merā hī dīvān maarā
rihā.ī hai us said-afgan se mushkil
gayā sāñjh to sub.h phir aan maarā
lagā ātishīñ-nāla shab apne dil ko
is andāz se jaise ik baan maarā
qayāmat kā arsa hai ai 'mīr' darham
mire shor-o-zārī ne maidān maarā
agarche jahan main ne sab chhan mara
wale us ki nayabi ne jaan mara
qayamat ko jurmana-e-shaeri par
mere sar se mera hi diwan mara
rihai hai us said-afgan se mushkil
gaya sanjh to subh phir aan mara
laga aatishin-nala shab apne dil ko
is andaz se jaise ek ban mara
qayamat ka arsa hai ai 'mir' darham
mere shor-o-zari ne maidan mara
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1342
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.