ahd is ka ghalat qarar abas
ahd is kā ġhalat qarār abas
dil hamārā hai be-qarār abas
ham galā kāTte hī the apnā
tū gale kā huā hai haar abas
lohū rone ne sab nichoḌ liyā
ab piye ḳhuun rozgār abas
aah vo kis qadar hai mustaġhnī
log us ke hue shikār abas
ham to aage hī mar rahe haiñ 'mīr'
teġh khīñche phire hai yaar abas
ahd is ka ghalat qarar abas
dil hamara hai be-qarar abas
hum gala kaTte hi the apna
tu gale ka hua hai haar abas
lohu rone ne sab nichoD liya
ab piye KHun rozgar abas
aah wo kis qadar hai mustaghni
log us ke hue shikar abas
hum to aage hi mar rahe hain 'mir'
tegh khinche phire hai yar abas
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1367
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.