aisi gali ek shahr-e-islam nahin rakhta
aisī galī ik shahr-e-islām nahīñ rakhtā
jis kūche meñ vo but sad badnām nahīñ rakhtā
āzār na de apne kānoñ ke ta.iiñ ai gul
āġhāz mire ġham kā anjām nahīñ rakhtā
nākāmī-e-sad-hasrat ḳhush lagtī nahīñ varna
ab jī se guzar jaanā kuchh kaam nahīñ rakhtā
ho ḳhushk to behtar hai vo haath bahārāñ meñ
mānind-e-nay-e-nargis jo jaam nahīñ rakhtā
bin us kī ham-āġhoshī betāb nahīñ ab hai
muddat se baġhal meñ dil ārām nahīñ rakhtā
maiñ dāḌhī tirī vā'iz masjid hī meñ muñDvātā
par kyā karūñ saath apne hajjām nahīñ rakhtā
vo muflis un āñkhoñ se kyūñkar ke basar aave
jo apnī girah meñ ik bādām nahīñ rakhtā
kyā baat karūñ us se mil jaa.e jo vo maiñ to
is nākasī se rū-e-dushnām nahīñ rakhtā
yuuñ to rah-o-rasm us ko is shahr meñ sab se hai
ik 'mīr' hī se ḳhatt-o-paiġhām nahīñ rakhtā
aisi gali ek shahr-e-islam nahin rakhta
jis kuche mein wo but sad badnam nahin rakhta
aazar na de apne kanon ke tain ai gul
aaghaz mere gham ka anjam nahin rakhta
nakaami-e-sad-hasrat KHush lagti nahin warna
ab ji se guzar jaana kuchh kaam nahin rakhta
ho KHushk to behtar hai wo hath bahaaran mein
manind-e-nay-e-nargis jo jam nahin rakhta
bin us ki ham-aghoshi betab nahin ab hai
muddat se baghal mein dil aaram nahin rakhta
main daDhi teri wa'iz masjid hi mein munDwata
par kya karun sath apne hajjam nahin rakhta
wo muflis un aankhon se kyunkar ke basar aawe
jo apni girah mein ek baadam nahin rakhta
kya baat karun us se mil jae jo wo main to
is nakasi se ru-e-dushnam nahin rakhta
yun to rah-o-rasm us ko is shahr mein sab se hai
ek 'mir' hi se KHatt-o-paigham nahin rakhta
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0036
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.