ajab sohbat hai kyunkar subh apni sham kariye ab
ajab sohbat hai kyūñkar sub.h apnī shaam kariye ab
jahāñ Tuk aan baiThe ham kahā ārām kariye ab
hazāroñ ḳhvāhish-e-murda ne sar dil se nikālā hai
qayāmat jī pe hai dīdār ko Tuk aam kariye ab
balā āshob thā go jaan par āġhāz-e-ulfat meñ
huā so to huā andesha-e-anjām kariye ab
bahut kī yā-sanam-goī hue mash.hūr kāfir ham
vazīfa koī din apnā ḳhudā kā naam kariye ab
zabāñ-ḳhāma ke hilte hī hazāroñ ashk girte haiñ
haqīqat apne dil kī aah kyā arqām kariye ab
kahāñ tak kām-nākām us jafā-jū ke liye mariye
agar talvār haath aave to apnā kaam kariye ab
fasāna shāḳh-dar-shāḳh us nihāl-e-husn ke ġham kā
kahāñ ai 'mīr' be-barg-o-navā itmām kariye ab
ajab sohbat hai kyunkar subh apni sham kariye ab
jahan Tuk aan baiThe hum kaha aaram kariye ab
hazaron KHwahish-e-murda ne sar dil se nikala hai
qayamat ji pe hai didar ko Tuk aam kariye ab
bala aashob tha go jaan par aaghaz-e-ulfat mein
hua so to hua andesha-e-anjam kariye ab
bahut ki ya-sanam-goi hue mashhur kafir hum
wazifa koi din apna KHuda ka nam kariye ab
zaban-KHama ke hilte hi hazaron ashk girte hain
haqiqat apne dil ki aah kya arqam kariye ab
kahan tak kaam-nakaam us jafa-ju ke liye mariye
agar talwar hath aawe to apna kaam kariye ab
fasana shaKH-dar-shaKH us nihaal-e-husn ke gham ka
kahan ai 'mir' be-barg-o-nawa itmam kariye ab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0776
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.