allah re ghurur-o-naz tera
allah re ġhurūr-o-nāz terā
mutlaq nahīñ ham se saaz terā
ham se ki tujhī ko jānte haiñ
jaatā nahīñ ehtirāz terā
mil jin se sharāb tū piye hai
kah dete haiñ vo hī raaz terā
kuchh ishq-o-havas meñ farq bhī kar
kīdhar hai vo imtiyāz terā
kahte na the 'mīr' mat kuḌhā kar
dil ho na gayā gudāz terā
allah re ghurur-o-naz tera
mutlaq nahin hum se saz tera
hum se ki tujhi ko jaante hain
jata nahin ehtiraaz tera
mil jin se sharab tu piye hai
kah dete hain wo hi raaz tera
kuchh ishq-o-hawas mein farq bhi kar
kidhar hai wo imtiyaz tera
kahte na the 'mir' mat kuDha kar
dil ho na gaya gudaz tera
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0728
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.