be yar hun bekas hun aagah nahin koi
be yaar huuñ bekas huuñ āgāh nahīñ koī
be-ġham karo ḳhūñ-rezī ḳhūñ-ḳhvāh nahīñ koī
kyā tang muḳhavvif hai is nīstī kā rasta
tanhā paḌā hai jaanā hamrāh nahīñ koī
mauhūm hai hastī to kyā mo'tabarī is kī
hai gaah agar koī to gaah nahīñ koī
farhād ko majnūñ ko maut aa ga.ī hai aage
kis se kaheñ dard-e-dil ab aah nahīñ koī
'mīr' itnī samājat jo bandoñ se tū kartā hai
duniyā meñ magar terā allāh nahīñ koī
be yar hun bekas hun aagah nahin koi
be-gham karo KHun-rezi KHun-KHwah nahin koi
kya tang muKHawwif hai is nisti ka rasta
tanha paDa hai jaana hamrah nahin koi
mauhum hai hasti to kya mo'tabari is ki
hai gah agar koi to gah nahin koi
farhad ko majnun ko maut aa gai hai aage
kis se kahen dard-e-dil ab aah nahin koi
'mir' itni samajat jo bandon se tu karta hai
duniya mein magar tera allah nahin koi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1774
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.