betab ji ko dekha dil ko kabab dekha
betāb jī ko dekhā dil ko kabāb dekhā
jiite rahe the kyoñ ham jo ye azaab dekhā
paudā sitam kā jis ne is baaġh meñ lagāyā
apne kiye kā un ne samra shitāb dekhā
dil kā nahīñ Thikānā bābat jigar kī ġham hai
tere balā-kashoñ kā ham ne hisāb dekhā
ābād jis meñ tujh ko dekhā thā ek muddat
us dil kī mamlikat ko ab ham ḳharāb dekhā
yuuñ ḳhaak meñ milā yaañ us bin ki kuchh na pūchho
is zulm-dīda dil kā ham iztirāb dekhā
vaa.iz zabūn mat kah maiḳhāne ko ki is jā
pairāhan-e-nikoyāñ rehn-e-sharāb dekhā
lete hī naam us kā sote se chauñk uThe ho
hai ḳhair 'mīr' sāhib kuchh tum ne ḳhvāb dekhā
betab ji ko dekha dil ko kabab dekha
jite rahe the kyon hum jo ye azab dekha
pauda sitam ka jis ne is bagh mein lagaya
apne kiye ka un ne samra shitab dekha
dil ka nahin Thikana babat jigar ki gham hai
tere bala-kashon ka hum ne hisab dekha
aabaad jis mein tujh ko dekha tha ek muddat
us dil ki mamlikat ko ab hum KHarab dekha
yun KHak mein mila yan us bin ki kuchh na puchho
is zulm-dida dil ka hum iztirab dekha
waiz zabun mat kah maiKHane ko ki is ja
pairahan-e-nikoyan rehn-e-sharab dekha
lete hi nam us ka sote se chaunk uThe ho
hai KHair 'mir' sahib kuchh tum ne KHwab dekha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.