Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

burqa mein kya chhupen we howen jinhon ki ye tab

Meer Taqi Meer

burqa mein kya chhupen we howen jinhon ki ye tab

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    burqā meñ kyā chhupeñ ve hoveñ jinhoñ ye taab

    ruḳhsār tere pyāre haiñ āftāb mahtāb

    aTkal hamīñ ko un ne āḳhir hadaf banāyā

    har-chand ham balā-kash the ek tīr-e-pur-tāb

    kuchh qadr maiñ na jaanī ġhaflat se raftagāñ

    āñkheñ khul ga.iiñ ab jab sohbateñ huiiñ ḳhvāb

    an-ban ke sabab haiñ us lālchī se saare

    yaañ hai faqīrī-e-mahz vaañ chāhiye hai asbāb

    us bahr-e-husn ke tiiñ dekhā hai aap meñ kyā

    jaatā hai sadqe apne jo lahza lahza girdāb

    achraj hai ye ki mutlaq koī nahīñ hai ḳhvāhāñ

    jins-e-vafā agarche haigī bahut kamyāb

    thī chashm ye rukegā palkoñ se girya lekin

    hotī hai band koī tinkoñ se rāh-e-sailāb

    qaaf

    bhī to muḳhtalat ho sabze meñ ham se saaqī

    le kar baġhal meñ zālim mīnā-e-bāda-e-nāb

    niklī haiñ ab ke kaliyāñ is rang se chaman meñ

    sar joḌ joḌ jaise mil baiThte haiñ ahbāb

    kyā lāl-e-lab kisū ke ai 'mīr' chit chaḌhe haiñ

    chehre pe tere har dam bahtā rahe hai ḳhūnāb

    burqa mein kya chhupen we howen jinhon ki ye tab

    ruKHsar tere pyare hain aaftab mahtab

    aTkal hamin ko un ne aaKHir hadaf banaya

    har-chand hum bala-kash the ek tir-e-pur-tab

    kuchh qadr main na jaani ghaflat se raftagan ki

    aankhen si khul gain ab jab sohbaten huin KHwab

    an-ban hi ke sabab hain us lalchi se sare

    yan hai faqiri-e-mahz wan chahiye hai asbab

    us bahr-e-husn ke tin dekha hai aap mein kya

    jata hai sadqe apne jo lahza lahza girdab

    achraj hai ye ki mutlaq koi nahin hai KHwahan

    jins-e-wafa agarche haigi bahut hi kamyab

    thi chashm ye rukega palkon se girya lekin

    hoti hai band koi tinkon se rah-e-sailab

    qaf

    tu bhi to muKHtalat ho sabze mein hum se saqi

    le kar baghal mein zalim mina-e-baada-e-nab

    nikli hain ab ke kaliyan is rang se chaman mein

    sar joD joD jaise mil baiThte hain ahbab

    kya lal-e-lab kisu ke ai 'mir' chit chaDhe hain

    chehre pe tere har dam bahta rahe hai KHunab

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0777
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now