Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman mein gul ne jo kal dawa-e-jamal kiya

Meer Taqi Meer

chaman mein gul ne jo kal dawa-e-jamal kiya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    chaman meñ gul ne jo kal dāva-e-jamāl kiyā

    jamāl-e-yār ne muñh us ḳhuub laal kiyā

    falak ne aah tirī rah meñ ham ko paidā kar

    ba-rañg-e-sabza-e-nūrasta pā.emāl kiyā

    rahī thī dam kashākash gale meñ kuchh baaqī

    so us teġh ne jhagḌā infisāl kiyā

    mirī ab āñkheñ nahīñ khultīñ zo.af se hamdam

    na kah ki niiñd meñ hai ye kyā ḳhayāl kiyā

    bahār-e-rafta phir aa.ī tire tamāshe ko

    chaman ko yumn-e-qadam ne tire nihāl kiyā

    javāb-nāma siyāhī apnī hai vo zulf

    kisū ne hashr ko ham se agar savāl kiyā

    lagā na dil ko kahīñ kyā sunā nahīñ ne

    jo kuchh ki 'mīr' is āshiqī ne haal kiyā

    chaman mein gul ne jo kal dawa-e-jamal kiya

    jamal-e-yar ne munh us ka KHub lal kiya

    falak ne aah teri rah mein hum ko paida kar

    ba-rang-e-sabza-e-nurasta paemal kiya

    rahi thi dam ki kashakash gale mein kuchh baqi

    so us ki tegh ne jhagDa hi infisal kiya

    meri ab aankhen nahin khultin zoaf se hamdam

    na kah ki nind mein hai tu ye kya KHayal kiya

    bahaar-e-rafta phir aai tere tamashe ko

    chaman ko yumn-e-qadam ne tere nihaal kiya

    jawab-nama siyahi ka apni hai wo zulf

    kisu ne hashr ko hum se agar sawal kiya

    laga na dil ko kahin kya suna nahin tu ne

    jo kuchh ki 'mir' ka is aashiqi ne haal kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now