Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chupke khaDa TukDe hota hun sari hai ulfat ki baat

Meer Taqi Meer

chupke khaDa TukDe hota hun sari hai ulfat ki baat

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    chupke khaḌā TukḌe hotā huuñ saarī hai ulfat baat

    teġh ne us kiyā hai qismat ye bhī hai qismat baat

    jaan musāfir ho jā.egī lab par hai mauqūf-e-āh

    sab kuchh kahiyo jaate hue tum mat kahiyo ruḳhsat baat

    kah ke fasāna ishq-o-vafā log mohabbat karte the

    ab vo naaz kahānī un goyā hai muddat baat

    dard-o-ġham giraftārī se mohlat ho to kuchh kahiye

    harf-zadan ash.ār-shi.ārī ye sab hai fursat baat

    kis ko dimāġh-e-javāb rahā hai zo.af se ab ḳhāmosh rahe

    pahroñ baknā nasīhat-gar se 'mīr' ye hai tāqat baat

    chupke khaDa TukDe hota hun sari hai ulfat ki baat

    tegh ne us ki kiya hai qismat ye bhi hai qismat ki baat

    jaan musafir ho jaegi lab par hai mauquf-e-ah

    sab kuchh kahiyo jate hue tum mat kahiyo ruKHsat ki baat

    kah ke fasana ishq-o-wafa ka log mohabbat karte the

    ab wo naz kahani un ki goya hai muddat ki baat

    dard-o-gham ki giraftari se mohlat ho to kuchh kahiye

    harf-zadan ashaar-shiari ye sab hai fursat ki baat

    kis ko dimagh-e-jawab raha hai zoaf se ab KHamosh rahe

    pahron bakna nasihat-gar se 'mir' ye hai taqat ki baat

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1585
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now