Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwangi ki hai wahi zor-awari hanuz

Meer Taqi Meer

diwangi ki hai wahi zor-awari hanuz

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    dīvāngī hai vahī zor-āvarī hanūz

    har dam na.ī hai merī garebāñ-darī hanūz

    sar se gayā hai sāya-e-lutf us der se

    āñkhoñ meñ phire hai mirī vo parī hanūz

    shoḳhī se zār-e-girya ḳhuuñ chashm meñ nahīñ

    vaisī hai mizha ba-ainih tirī hanūz

    kab se nigāh gaaḌe hai yaañ roz āftāb

    ham dekhe haiñ jahāñ ke ta.iiñ sarsarī hanūz

    mab.hūt ho gayā hai jahāñ ik nazar kiye

    jaatī nahīñ in āñkhoñ se jādūgarī hanūz

    abr-e-karam ne sa.ī bahut pe kyā husūl

    hotī nahīñ hamārī zarā.at harī hanūz

    muddat se 'mīr' be-dil-o-dīñ dilbaroñ meñ hai

    kartā nahīñ hai us koī dilbarī hanūz

    diwangi ki hai wahi zor-awari hanuz

    har dam nai hai meri gareban-dari hanuz

    sar se gaya hai saya-e-lutf us ka der se

    aankhon hi mein phire hai meri wo pari hanuz

    shoKHi se zar-e-girya ki KHun chashm mein nahin

    waisi hi hai mizha ki ba-ainih teri hanuz

    kab se nigah gaDe hai yan roz aaftab

    hum dekhe hain jahan ke tain sarsari hanuz

    mabhut ho gaya hai jahan ek nazar kiye

    jati nahin in aankhon se jadugari hanuz

    abr-e-karam ne sai bahut ki pe kya husul

    hoti nahin hamari zaraat hari hanuz

    muddat se 'mir' be-dil-o-din dilbaron mein hai

    karta nahin hai us ki koi dilbari hanuz

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1395
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now