dil hai meri baghal mein sad-para
dil hai merī baġhal meñ sad-pāra
aur har paara is kā āvāra
araq-e-sharm-rū se dilbar ke
rafta sābit guzashta sayyāra
ḳhvārī-e-ishq apnī izzat hai
kī hai hamvār ham ne hamvāra
kaam us se pakaḌ kamar na liyā
hech-kāra bhī hai ye nākāra
TūTtīñ phūTtīñ na kaash āñkheñ
karte in raḳhnoñ hī se nazzāra
go masīhā-mizāj aave tabīb
ishq meñ marg bin nahīñ chāra
kyā bane us se 'mīr' maiñ miskīn
vo jafā-pesha-o-sitam-kāra
dil hai meri baghal mein sad-para
aur har para is ka aawara
araq-e-sharm-ru se dilbar ke
rafta sabit guzashta sayyara
KHwari-e-ishq apni izzat hai
ki hai hamwar hum ne hamwara
kaam us se pakaD kamar na liya
hech-kara bhi hai ye nakara
TuTtin phuTtin na kash aankhen
karte in raKHnon hi se nazzara
go masiha-mizaj aawe tabib
ishq mein marg bin nahin chaara
kya bane us se 'mir' main miskin
wo jafa-pesha-o-sitam-kara
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1873
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.