Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke gae be-dil kahlae aage dekhiye kya kya hon

Meer Taqi Meer

dil ke gae be-dil kahlae aage dekhiye kya kya hon

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    dil ke ga.e be-dil kahlā.e aage dekhiye kyā kyā hoñ

    mahzūñ hoveñ maftūñ hoveñ majnūñ hoveñ rusvā hoñ

    ishq rah meñ paañv rakhā so rahne lage kuchh rafta se

    aage chal kar dekheñ ham ab gum hoveñ paidā hoñ

    ḳhār-o-ḳhas uljhe haiñ aaphī bahs unhoñ se kyā rakkheñ

    maujzan apnī tab-e-ravāñ se jab ham jaise dariyā hoñ

    ham bhī ga.e jāgah se apnī shauq meñ us harjā.ī ke

    ishq jazba kaam kare to phir ham donoñ yakjā hoñ

    koī taraf yaañ aisī nahīñ jo ḳhālī hove us se 'mīr'

    ye turfa hai shor-e-jaras se chaar taraf ham tanhā hoñ

    dil ke gae be-dil kahlae aage dekhiye kya kya hon

    mahzun howen maftun howen majnun howen ruswa hon

    ishq ki rah mein panw rakha so rahne lage kuchh rafta se

    aage chal kar dekhen hum ab gum howen ya paida hon

    KHar-o-KHas uljhe hain aaphi bahs unhon se kya rakkhen

    maujzan apni tab-e-rawan se jab hum jaise dariya hon

    hum bhi gae jagah se apni shauq mein us harjai ke

    ishq ka jazba kaam kare to phir hum donon yakja hon

    koi taraf yan aisi nahin jo KHali howe us se 'mir'

    ye turfa hai shor-e-jaras se chaar taraf hum tanha hon

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1446
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now