Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faqirana aae sada kar chale

Meer Taqi Meer

faqirana aae sada kar chale

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    faqīrāna aa.e sadā kar chale

    ki myaañ ḳhush raho ham duā kar chale

    jo tujh bin na jiine ko kahte the ham

    so is ahd ko ab vafā kar chale

    shifā apnī taqdīr meñ na thī

    ki maqdūr tak to davā kar chale

    paḌe aise asbāb pāyān-e-kār

    ki nā-chār yuuñ jalā kar chale

    vo kyā chiiz hai aah jis ke liye

    har ik chiiz se dil uThā kar chale

    koī nā-umīdāna karte nigāh

    so tum ham se muñh bhī chhupā kar chale

    bahut aarzū thī galī tirī

    so yaañ se lahū meñ nahā kar chale

    dikhā.ī diye yuuñ ki be-ḳhud kiyā

    hameñ aap se bhī judā kar chale

    jabīñ sajda karte karte ga.ī

    haq-e-bandagī ham adā kar chale

    parastish yaañ tak ki ai but tujhe

    nazar meñ sabhoñ ḳhudā kar chale

    jhaḌe phuul jis rañg gulbun se yuuñ

    chaman meñ jahāñ ke ham aa kar chale

    na dekhā ġham-e-dostāñ shukr hai

    hamīñ daaġh apnā dikhā kar chale

    ga.ī umr dar-band-e-fikr-e-ġhazal

    so is fan ko aisā baḌā kar chale

    kaheñ kyā jo pūchhe koī ham se 'mīr'

    jahāñ meñ tum aa.e the kyā kar chale

    faqirana aae sada kar chale

    ki myan KHush raho hum dua kar chale

    jo tujh bin na jine ko kahte the hum

    so is ahd ko ab wafa kar chale

    shifa apni taqdir hi mein na thi

    ki maqdur tak to dawa kar chale

    paDe aise asbab payan-e-kar

    ki na-chaar yun ji jala kar chale

    wo kya chiz hai aah jis ke liye

    har ek chiz se dil uTha kar chale

    koi na-umidana karte nigah

    so tum hum se munh bhi chhupa kar chale

    bahut aarzu thi gali ki teri

    so yan se lahu mein naha kar chale

    dikhai diye yun ki be-KHud kiya

    hamein aap se bhi juda kar chale

    jabin sajda karte hi karte gai

    haq-e-bandagi hum ada kar chale

    parastish ki yan tak ki ai but tujhe

    nazar mein sabhon ki KHuda kar chale

    jhaDe phul jis rang gulbun se yun

    chaman mein jahan ke hum aa kar chale

    na dekha gham-e-dostan shukr hai

    hamin dagh apna dikha kar chale

    gai umr dar-band-e-fikr-e-ghazal

    so is fan ko aisa baDa kar chale

    kahen kya jo puchhe koi hum se 'mir'

    jahan mein tum aae the kya kar chale

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0605
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now