Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul-barg se hain nazuk KHubi-e-pa to dekho

Meer Taqi Meer

gul-barg se hain nazuk KHubi-e-pa to dekho

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    gul-barg se haiñ nāzuk ḳhūbī-e-pā to dekho

    kyā hai jhamak kafak rang-e-hinā to dekho

    har baat par ḳhushūnat tarz-e-jafā to dekho

    har lamha be-adā.ī us adā to dekho

    saa.e meñ har palak ke ḳhvābīda hai qayāmat

    us fitna-e-zamāñ ko koī jagā to dekho

    bulbul bhī gul ga.e par mar kar chaman se niklī

    is murġh-e-shauq-kash Tuk tum vafā to dekho

    tanzeñ abas karo ho ġhash rahne par hamāre

    do-chār din kisū se dil ko lagā to dekho

    honā paḌe hai dushman har gaam apnī jaañ

    kūche meñ dostī ke har koī aa to dekho

    piirī meñ mol le hai mun.im haveliyoñ ko

    Dhahtā phire hai aaphī us par binā to dekho

    Duubī hai kashtī merī bahr-e-amīq-e-ġham meñ

    begāne se khaḌe ho tum āshnā to dekho

    aa.e jo ham to un ne āñkhoñ meñ ham ko rakkhā

    ahl-e-havas se koī ūdhar ko to dekho

    hai is chaman meñ vo gul sad-rang mahv-e-jalvā

    dekho jahāñ vahī hai kuchh us sivā to dekho

    ash.ār-e-'mīr' par hai ab hā.e-vā.e har-sū

    kuchh sehr to nahīñ hai lekin havā to dekho

    gul-barg se hain nazuk KHubi-e-pa to dekho

    kya hai jhamak kafak ki rang-e-hina to dekho

    har baat par KHushunat tarz-e-jafa to dekho

    har lamha be-adai us ki ada to dekho

    sae mein har palak ke KHwabida hai qayamat

    us fitna-e-zaman ko koi jaga to dekho

    bulbul bhi gul gae par mar kar chaman se nikli

    is murgh-e-shauq-kash ki Tuk tum wafa to dekho

    tanzen abas karo ho ghash rahne par hamare

    do-chaar din kisu se dil ko laga to dekho

    hona paDe hai dushman har gam apni jaan ka

    kuche mein dosti ke har koi aa to dekho

    piri mein mol le hai munim haweliyon ko

    Dhahta phire hai aaphi us par bina to dekho

    Dubi hai kashti meri bahr-e-amiq-e-gham mein

    begane se khaDe ho tum aashna to dekho

    aae jo hum to un ne aankhon mein hum ko rakkha

    ahl-e-hawas se koi udhar ko ja to dekho

    hai is chaman mein wo gul sad-rang mahw-e-jalwa

    dekho jahan wahi hai kuchh us siwa to dekho

    ashaar-e-'mir' par hai ab hae-wae har-su

    kuchh sehr to nahin hai lekin hawa to dekho

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0914
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now