gul-barg si zaban se bulbul ne kya fughan ki
gul-barg sī zabāñ se bulbul ne kyā fuġhāñ kī
sab jaise uḌ ga.ī hai rangīnī gulsitāñ kī
matlūb gum kiyā hai tab aur bhī phire hai
be-vajah kuchh nahīñ hai gardish ye āsmāñ kī
maa.il sitam ke honā jaur-o-jafā bhī karnā
insāf se ye kahnā ye rasm hai kahāñ kī
hai sabza-e-lab-e-jū is lutf se chaman meñ
juuñ bhīgtī maseñ hoñ koī sarv-e-naujavāñ kī
maiñ ghar jahāñ meñ apne laḌkoñ ke se banā.e
jab chāhā tab miTāyā buniyād kyā jahāñ kī
saum-o-salāt yaksū maiḳhāne meñ jo the ham
āvāz bhī na aa.ī kānoñ meñ yaañ azaañ kī
jab sāmne ga.e ham ham ne use duā dī
shakl un ne dekhte hī ġhussa kiyā zabāñ kī
dekheñ to 'mīr' kyūñkar hijrāñ meñ ham jiye haiñ
hai iztirāb dil kā be-tāqatī hai jaañ kī
gul-barg si zaban se bulbul ne kya fughan ki
sab jaise uD gai hai rangini gulsitan ki
matlub gum kiya hai tab aur bhi phire hai
be-wajah kuchh nahin hai gardish ye aasman ki
mail sitam ke hona jaur-o-jafa bhi karna
insaf se ye kahna ye rasm hai kahan ki
hai sabza-e-lab-e-ju is lutf se chaman mein
jun bhigti masen hon koi sarw-e-naujawan ki
main ghar jahan mein apne laDkon ke se banae
jab chaha tab miTaya buniyaad kya jahan ki
saum-o-salat yaksu maiKHane mein jo the hum
aawaz bhi na aai kanon mein yan azan ki
jab samne gae hum hum ne use dua di
shakl un ne dekhte hi ghussa kiya zaban ki
dekhen to 'mir' kyunkar hijran mein hum jiye hain
hai iztirab dil ka be-taqati hai jaan ki
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1916
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.