gul ko hota saba qarar ai kash
gul ko hotā sabā qarār ai kaash
rahtī ek aadh din bahār ai kaash
ye jo do āñkheñ muñd ga.iiñ merī
us pe vā hotīñ ek baar ai kaash
kin ne apnī musībateñ na ginīñ
rakhte mere bhī ġham shumār ai kaash
jaan āḳhir to jaane vaalī thī
us pe kī hotī maiñ nisār ai kaash
is meñ rāh-e-suḳhan nikaltī thī
sher hotā tirā shi.ār ai kaash
ḳhaak bhī vo to devegā bar-bād
na banāveñ mirā mazār ai kaash
shash-jihat ab to tang hai ham par
us se hote na ham do-chār ai kaash
marte bhī to tire hī kūche meñ
miltī yaañ jā-e-gor-vār ai kaash
in laboñ ke gile se dil hai bharā
chal paḌe baat pesh-e-yār ai kaash
be-ajal 'mīr' ab paḌā marnā
ishq karte na iḳhtiyār ai kaash
gul ko hota saba qarar ai kash
rahti ek aadh din bahaar ai kash
ye jo do aankhen mund gain meri
us pe wa hotin ek bar ai kash
kin ne apni musibaten na ginin
rakhte mere bhi gham shumar ai kash
jaan aaKHir to jaane wali thi
us pe ki hoti main nisar ai kash
is mein rah-e-suKHan nikalti thi
sher hota tera shiar ai kash
KHak bhi wo to dewega bar-baad
na banawen mera mazar ai kash
shash-jihat ab to tang hai hum par
us se hote na hum do-chaar ai kash
marte bhi to tere hi kuche mein
milti yan ja-e-gor-war ai kash
in labon ke gile se dil hai bhara
chal paDe baat pesh-e-yar ai kash
be-ajal 'mir' ab paDa marna
ishq karte na iKHtiyar ai kash
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0825
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.