gul ne bahut kaha ki chaman se na jaiye
gul ne bahut kahā ki chaman se na jā.iye
gul-gasht ko jo aa.iye āñkhoñ pe ā.īye
maiñ be-dimāġh kar ke taġhāful chalā gayā
vo dil kahāñ ki naaz kisū ke uThā.iye
sohbat ajab tarah kī paḌī ittifāq haa.e
kho baiThiye jo aap ko to us ko pā.iye
ranjīdagī hamārī to par sahl hai vale
āzurda dil kisū ko na itnā satā.iye
ḳhātir hī ke ilāqe kī sab haiñ ḳharābiyāñ
apnā ho bas to dil na kisū se lagā.iye
ai hamdam ibtidā se hai ādam-kushī meñ ishq
tab-e-sharīf apnī na īdhar ko lā.iye
itnī bhī kyā hai dīda-darā.ī ki ġhair se
āñkheñ laḌā.iye hameñ āñkheñ dikhā.iye
machlā hai vo to dekh ke letā hai āñkheñ muuñd
sotā paḌā ho koī to us ko jagā.iye
jān-e-ġhayūr par hai sitam sā sitam ki 'mīr'
bigḌā jinhoñ se chāhiye un se banā.iye
gul ne bahut kaha ki chaman se na jaiye
gul-gasht ko jo aaiye aankhon pe aaiye
main be-dimagh kar ke taghaful chala gaya
wo dil kahan ki naz kisu ke uThaiye
sohbat ajab tarah ki paDi ittifaq hae
kho baiThiye jo aap ko to us ko paiye
ranjidagi hamari to par sahl hai wale
aazurda dil kisu ko na itna sataiye
KHatir hi ke ilaqe ki sab hain KHarabiyan
apna ho bas to dil na kisu se lagaiye
ai hamdam ibtida se hai aadam-kushi mein ishq
tab-e-sharif apni na idhar ko laiye
itni bhi kya hai dida-darai ki ghair se
aankhen laDaiye hamein aankhen dikhaiye
machla hai wo to dekh ke leta hai aankhen mund
sota paDa ho koi to us ko jagaiye
jaan-e-ghayur par hai sitam sa sitam ki 'mir'
bigDa jinhon se chahiye un se banaiye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1889
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.