gul-o-bulbul bahaar mein dekha
gul-o-bulbul bahār meñ dekhā
ek tujh ko hazār meñ dekhā
jal gayā dil safed haiñ āñkheñ
ye to kuchh intizār meñ dekhā
jaisā muztar thā zindagī meñ dil
vohīñ maiñ ne qarār meñ dekhā
aable kā bhī honā dāman-gīr
tere kūche ke ḳhaar meñ dekhā
tiira aalam huā ye roz-e-siyāh
apne dil ke ġhubār meñ dekhā
zab.h kar maiñ kahā thā martā huuñ
dam nahīñ mujh shikār meñ dekhā
jin balāoñ ko 'mīr' sunte the
un ko is rozgār meñ dekhā
gul-o-bulbul bahaar mein dekha
ek tujh ko hazar mein dekha
jal gaya dil safed hain aankhen
ye to kuchh intizar mein dekha
jaisa muztar tha zindagi mein dil
wohin main ne qarar mein dekha
aable ka bhi hona daman-gir
tere kuche ke KHar mein dekha
tera aalam hua ye roz-e-siyah
apne dil ke ghubar mein dekha
zabh kar main kaha tha marta hun
dam nahin mujh shikar mein dekha
jin balaon ko 'mir' sunte the
un ko is rozgar mein dekha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0044
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.