ghusse mein naKHunon ne mere ki hai kya talash
ġhusse meñ nāḳhunoñ ne mire kī hai kyā talāsh
talvār kā sā ghaav hai jab.he kā har ḳharāsh
sohbat meñ us kī kyūñke rahe mard aadmī
vo shoḳh o shang o be-tah o aubāsh o bad-ma.āsh
be-rahm tujh ko ek nazar karnī thī idhar
kushte ke tere TukḌe hue le ga.e bhī laash
ābād ujḌā lakhna.ū chuġhdoñ se ab huā
mushkil hai is ḳharābe meñ aadam kī būd-o-bāsh
umr-e-azīz yaas hī meñ jaatī hai chalī
umīd-vār us ke na ham hote 'mīr' kaash
ghusse mein naKHunon ne mere ki hai kya talash
talwar ka sa ghaw hai jabhe ka har KHarash
sohbat mein us ki kyunke rahe mard aadmi
wo shoKH o shang o be-tah o aubash o bad-maash
be-rahm tujh ko ek nazar karni thi idhar
kushte ke tere TukDe hue le gae bhi lash
aabaad ujDa lakhnau chughdon se ab hua
mushkil hai is KHarabe mein aadam ki bud-o-bash
umr-e-aziz yas hi mein jati hai chali
umid-war us ke na hum hote 'mir' kash
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1638
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.