Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haal-e-dil mir ka ai ahl-e-wafa mat puchho

Meer Taqi Meer

haal-e-dil mir ka ai ahl-e-wafa mat puchho

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    hāl-e-dil 'mīr' ai ahl-e-vafā mat pūchho

    us sitam-kushta pe jo guzrī jafā mat pūchho

    sub.h se aur bhī paatā huuñ use shaam ko tund

    kaam kartī hai jo kuchh merī duā mat pūchho

    ustuḳhvāñ toḌe mire us galī ke sag ne

    jis ḳharābī se maiñ vaañ raat rahā mat pūchho

    hosh-o-sabr-o-ḳhirad-o-dīn-o-havās-o-dil-o-tāb

    us ke ek aane meñ kyā kyā na gayā mat pūchho

    ishti'ālak mohabbat ne ki dar-bast phuñkā

    shahr-e-dil kyā kahūñ kis taur jalā mat pūchho

    vaqt-e-qatl ārzū-e-dil jo lage pūchhne log

    maiñ ishārat udhar un ne kahā mat pūchho

    ḳhvāh maarā unhīñ ne 'mīr' ko ḳhvāh aap muā

    jaane do yaaro jo honā thā huā mat pūchho

    haal-e-dil 'mir' ka ai ahl-e-wafa mat puchho

    us sitam-kushta pe jo guzri jafa mat puchho

    subh se aur bhi pata hun use sham ko tund

    kaam karti hai jo kuchh meri dua mat puchho

    ustuKHwan toDe mere us ki gali ke sag ne

    jis KHarabi se main wan raat raha mat puchho

    hosh-o-sabr-o-KHirad-o-din-o-hawas-o-dil-o-tab

    us ke ek aane mein kya kya na gaya mat puchho

    ishti'alak ki mohabbat ne ki dar-bast phunka

    shahr-e-dil kya kahun kis taur jala mat puchho

    waqt-e-qatl aarzu-e-dil jo lage puchhne log

    main ishaarat ki udhar un ne kaha mat puchho

    KHwah mara unhin ne 'mir' ko KHwah aap mua

    jaane do yaro jo hona tha hua mat puchho

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0403
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now