haal-e-dil mir ka ro ro ke sab ai mah suna
hāl-e-dil 'mīr' kā ro ro ke sab ai maah sunā
shab ko al-qissa ajab qissa-e-jāñ-kāh sunā
nā-balad ho ke rah-e-ishq meñ pahuñchūñ to kahīñ
hamrā ḳhizar ko yaañ kahte haiñ gumrāh sunā
koī in tauroñ se guzre hai tire ġham meñ mirī
gaah tū ne na sunā haal mirā gaah sunā
ḳhvāb-e-ġhaflat meñ haiñ yaañ sab to abas jaagā 'mīr'
be-ḳhabar dekhā unheñ maiñ jinheñ āgāh sunā
haal-e-dil 'mir' ka ro ro ke sab ai mah suna
shab ko al-qissa ajab qissa-e-jaan-kah suna
na-balad ho ke rah-e-ishq mein pahunchun to kahin
hamra KHizar ko yan kahte hain gumrah suna
koi in tauron se guzre hai tere gham mein meri
gah tu ne na suna haal mera gah suna
KHwab-e-ghaflat mein hain yan sab to abas jaga 'mir'
be-KHabar dekha unhen main jinhen aagah suna
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.