haal to haal-e-zar hai ta-haal
haal to hāl-e-zār hai tā-hāl
dil vahī be-qarār hai tā-hāl
baḌhtī hai haal kī ḳharābī roz
garche kuchh rozgār hai tā-hāl
ḳhasta-jānī ne nang-e-ḳhalq kiyā
par use mujh se aar hai tā-hāl
haal fikr-e-suḳhan meñ kuchh na rahā
sher merā shi.ār hai tā-hāl
hāl-e-mastī javānī thī so ga.ī
'mīr' us kā ḳhumār hai tā-hāl
āñkheñ bad-halī se Thahartīñ nahīñ
shauq-e-dīdār-e-yār hai tā-hāl
ġham se hālāñki ḳhūn-e-dil sūkhā
chashm-e-tar ashk-bār hai tā-hāl
haal to haal-e-zar hai ta-haal
dil wahi be-qarar hai ta-haal
baDhti hai haal ki KHarabi roz
garche kuchh rozgar hai ta-haal
KHasta-jaani ne nang-e-KHalq kiya
par use mujh se aar hai ta-haal
haal fikr-e-suKHan mein kuchh na raha
sher mera shiar hai ta-haal
haal-e-masti jawani thi so gai
'mir' us ka KHumar hai ta-haal
aankhen bad-hali se Thahartin nahin
shauq-e-didar-e-yar hai ta-haal
gham se haalanki KHun-e-dil sukha
chashm-e-tar ashk-bar hai ta-haal
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1428
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.