hai harf-e-KHama dil-zada husn-e-qubul ka
hai harf-e-ḳhāma dil-zada husn-e-qubūl kā
yā'nī ḳhayāl sar meñ hai nā't-e-rasūl kā
rah pairvī meñ us kī ki gām-e-nuḳhust meñ
zāhir asar hai maqsad-e-dil ke vasūl kā
vo muqtadā-e-ḳhalq-e-jahāñ ab nahīñ huā
pahle hī thā imaam nufūs-o-'uqūl kā
surma kiyā hai vaz' pa.e-chashm-e-ahl-e-quds
ahmad ke rahguzār kī ḳhaak aur dhuul kā
hai muttahid nabī-o-'alī-o-vasī kī zaat
yaañ harf mo'tabar nahīñ har bul-fuzūl kā
dho muñh hazār paanī se sau baar paḌh darūd
tab naam le tū us chamanistāñ ke phuul kā
hāsil hai 'mīr' dostī-e-ahl-e-bait agar
to ġham hai kyā najāt ke apnī husūl kā
hai harf-e-KHama dil-zada husn-e-qubul ka
ya'ni KHayal sar mein hai na't-e-rasul ka
rah pairwi mein us ki ki gam-e-nuKHust mein
zahir asar hai maqsad-e-dil ke wasul ka
wo muqtada-e-KHalq-e-jahan ab nahin hua
pahle hi tha imam nufus-o-'uqul ka
surma kiya hai waz' pae-chashm-e-ahl-e-quds
ahmad ke rahguzar ki KHak aur dhul ka
hai muttahid nabi-o-'ali-o-wasi ki zat
yan harf mo'tabar nahin har bul-fuzul ka
dho munh hazar pani se sau bar paDh darud
tab nam le tu us chamanistan ke phul ka
hasil hai 'mir' dosti-e-ahl-e-bait agar
to gham hai kya najat ke apni husul ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1535
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.