hai KHak jaise reg-e-rawan sab na aab hai
hai ḳhaak jaise reg-e-ravāñ sab na aab hai
daryā-e-mauj-ḳhez jahāñ kā sarāb hai
roz-e-shumār meñ bhī muhāsib hai gar koī
to be-hisāb kuchh na kar āḳhir hisāb hai
is shahr-e-dil ko tū bhī jo dekhe to ab kahe
kyā jāniye ki bastī ye kab kī ḳharāb hai
muñh par liye naqāb tū ai maah kyā chhupe
āshob-e-shahr-e-husn tirā āftāb hai
kis rashk-e-gul kī baaġh meñ zulf-e-siyah khulī
mauj-e-havā meñ aaj nipaT pech-o-tāb hai
kyā dil mujhe bahisht meñ le jā.egā bhalā
jis ke sabab ye jaan pe merī azaab hai
sun kaan khol kar ki tanik jald aañkh khol
ġhāfil ye zindagānī fasāna hai ḳhvāb hai
rah āshnā-e-lutf haqīqat ke bahr kā
hai rashk-e-zulf-o-chashm jo mauj-e-habāb hai
ātish hai soz-e-sīnā hamārā magar ki 'mīr'
naame se āshiqoñ ke kabūtar kabāb hai
hai KHak jaise reg-e-rawan sab na aab hai
darya-e-mauj-KHez jahan ka sarab hai
roz-e-shumar mein bhi muhasib hai gar koi
to be-hisab kuchh na kar aaKHir hisab hai
is shahr-e-dil ko tu bhi jo dekhe to ab kahe
kya jaaniye ki basti ye kab ki KHarab hai
munh par liye naqab tu ai mah kya chhupe
aashob-e-shahr-e-husn tera aaftab hai
kis rashk-e-gul ki bagh mein zulf-e-siyah khuli
mauj-e-hawa mein aaj nipaT pech-o-tab hai
kya dil mujhe bahisht mein le jaega bhala
jis ke sabab ye jaan pe meri azab hai
sun kan khol kar ki tanik jald aankh khol
ghafil ye zindagani fasana hai KHwab hai
rah aashna-e-lutf haqiqat ke bahr ka
hai rashk-e-zulf-o-chashm jo mauj-e-habab hai
aatish hai soz-e-sina hamara magar ki 'mir'
name se aashiqon ke kabutar kabab hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0614
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.