Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hairat-talab ko kaam nahin hai kisu ke sath

Meer Taqi Meer

hairat-talab ko kaam nahin hai kisu ke sath

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    hairat-talab ko kaam nahīñ hai kisū ke saath

    jān-e-azīz abhī hai mirī aabrū ke saath

    yak-rang-āshnā haiñ ḳharābāt ke log

    sar mai-kashoñ ke phūTte dekhe subū ke saath

    qumrī lohū paanī huā ek ishq meñ

    aatā hai us ḳhūn-e-jigar āb-jū ke saath

    ḳhālī nahīñ hai ḳhvāhish-e-dil se koī bashar

    jaate haiñ sab jahān se yak aarzū ke saath

    dam meñ hai dam jahāñ ta.iiñ garm-e-talāsh huuñ

    sau pech-o-tāb rahte haiñ har ek ke saath

    kyā iztirāb-e-ishq se maiñ harf-zan huuñ 'mīr'

    muñh tak jigar to aane lagā guftugū ke saath

    hairat-talab ko kaam nahin hai kisu ke sath

    jaan-e-aziz abhi hai meri aabru ke sath

    yak-rang-ashna hain KHarabaat hi ke log

    sar mai-kashon ke phuTte dekhe subu ke sath

    qumri ka lohu pani hua ek ishq mein

    aata hai us ka KHun-e-jigar aab-ju ke sath

    KHali nahin hai KHwahish-e-dil se koi bashar

    jate hain sab jahan se yak aarzu ke sath

    dam mein hai dam jahan tain garm-e-talash hun

    sau pech-o-tab rahte hain har ek mu ke sath

    kya iztirab-e-ishq se main harf-zan hun 'mir'

    munh tak jigar to aane laga guftugu ke sath

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1483
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now