ishq ki choTen pai-dar-pai jo uThai gain ghail hai dil
ishq kī choTeñ pai-dar-pai jo uThā.ī ga.iiñ ghā.il hai dil
yuuñ be-dam hai ab pahlū meñ juuñ said-e-bismil hai dil
ḳhuun huā hai chaak huā hai jalte jalte daaġh huā
ḳhvāhish is ko kyā hai baare kis ke liye be-dil hai dil
ishq kī bijlī aa ke girī so daaġh huā hai sar-tā-sar
kyā rove juuñ abr koī is mazra' kā hāsil hai dil
yuuñ to girah siine meñ hamāre dard-o-ġham kī ho ke rahā
kis se zāhir karte jā kar kaam bahut mushkil hai dil
āñkhoñ kī dekhā-dekhī hargiz dil ko us se na lagnā thā
jaisī sazā pahuñchāve koī ab us ke qābil hai dil
umr-e-insāñ raah to hai tashvīsh se tai hotī hai vale
dil ke ta.iiñ pahuñche jo koī chain kī phir manzil hai dil
shahd-e-lab se us ke chipkā jī kā sarfa kuchh na kiyā
'mīr' jo dekhā apne haq meñ kyā zahr-e-qātil hai dil
ishq ki choTen pai-dar-pai jo uThai gain ghail hai dil
yun be-dam hai ab pahlu mein jun said-e-bismil hai dil
KHun hua hai chaak hua hai jalte jalte dagh hua
KHwahish is ko kya hai bare kis ke liye be-dil hai dil
ishq ki bijli aa ke giri so dagh hua hai sar-ta-sar
kya rowe jun abr koi is mazra' ka hasil hai dil
yun to girah sine mein hamare dard-o-gham ki ho ke raha
kis se zahir karte ja kar kaam bahut mushkil hai dil
aankhon ki dekha-dekhi hargiz dil ko us se na lagna tha
jaisi saza pahunchawe koi ab us ke qabil hai dil
umr-e-insan rah to hai tashwish se tai hoti hai wale
dil ke tain pahunche jo koi chain ki phir manzil hai dil
shahd-e-lab se us ke chipka ji ka sarfa kuchh na kiya
'mir' jo dekha apne haq mein kya zahr-e-qatil hai dil
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1425
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.