ishq ko jurat-o-jigar hai shart
ishq ko jur.at-o-jigar hai shart
zardī-e-rang-o-chashm-e-tar hai shart
be-ḳhabar haal se na rah mere
maiñ kahe rakhtā huuñ ḳhabar hai shart
haj ko jaave to shaiḳh ko le jā
ka.abe jaane ko ye bhī ḳhar hai shart
paisoñ par rījhte haiñ ye laḌke
ishq-e-sīmīñ-tanāñ ko zar hai shart
ḳhaam rahtā hai aadmī ghar meñ
puḳhta-kārī ke tiiñ safar hai shart
ḳhubs yāroñ kā kar fasānoñ meñ
aib karne ko bhī hunar hai shart
la.al-pāre haiñ 'mīr' laḳht-e-jigar
dekh kar ḳhuun ro nazar hai shart
ishq ko jurat-o-jigar hai shart
zardi-e-rang-o-chashm-e-tar hai shart
be-KHabar haal se na rah mere
main kahe rakhta hun KHabar hai shart
haj ko jawe to shaiKH ko le ja
kabe jaane ko ye bhi KHar hai shart
paison par rijhte hain ye laDke
ishq-e-simin-tanan ko zar hai shart
KHam rahta hai aadmi ghar mein
puKHta-kari ke tin safar hai shart
KHubs yaron ka kar fasanon mein
aib karne ko bhi hunar hai shart
lal-pare hain 'mir' laKHt-e-jigar
dekh kar KHun ro nazar hai shart
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1642
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.