ishq mein ji ko sabr-o-tab kahan
ishq meñ jī ko sabr-o-tāb kahāñ
us se āñkheñ lagīñ to ḳhvāb kahāñ
bekalī dil hī kī tamāshā hai
barq meñ aise iztirāb kahāñ
ḳhat ke aa.e pe kuchh kahe to kahe
abhī maktūb kā javāb kahāñ
hastī apnī hai biich meñ parda
ham na hoveñ to phir hijāb kahāñ
girya-e-shab se surḳh haiñ āñkheñ
mujh balā-nosh ko sharāb kahāñ
ishq hai āshiqoñ ke jalne ko
ye jahannum meñ hai azaab kahāñ
daaġh rahnā dil-o-jigar kā dekh
jalte haiñ is tarah kabāb kahāñ
mahv haiñ us kitābī chehre ke
āshiqoñ ko sar-e-kitāb kahāñ
ishq kā ghar hai 'mīr' se ābād
aise phir ḳhānumāñ-ḳharāb kahāñ
ishq mein ji ko sabr-o-tab kahan
us se aankhen lagin to KHwab kahan
bekali dil hi ki tamasha hai
barq mein aise iztirab kahan
KHat ke aae pe kuchh kahe to kahe
abhi maktub ka jawab kahan
hasti apni hai bich mein parda
hum na howen to phir hijab kahan
girya-e-shab se surKH hain aankhen
mujh bala-nosh ko sharab kahan
ishq hai aashiqon ke jalne ko
ye jahannum mein hai azab kahan
dagh rahna dil-o-jigar ka dekh
jalte hain is tarah kabab kahan
mahw hain us kitabi chehre ke
aashiqon ko sar-e-kitab kahan
ishq ka ghar hai 'mir' se aabaad
aise phir KHanuman-KHarab kahan
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0879
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.