jae hai ji najat ke gham mein
jaa.e hai jī najāt ke ġham meñ
aisī jannat ga.ī jahannam meñ
naza.a meñ mere ek dam Thahro
dam abhī haiñ hazār ik dam meñ
na.al ham chhātiyoñ pe jaḌ ke phire
apne ḳhūñ-gashta dil ke mātam meñ
hai bahut jeb-chākī hī juuñ sub.h
kyā kiyā jaa.e fursat-e-kam meñ
par ke thī be-kalī qafas meñ bahut
dekhiye ab ke gul ke mausam meñ
aap meñ ham nahīñ to kyā hai ajab
duur us se rahā hai kyā ham meñ
be-ḳhudī par na 'mīr' kī jaao
tum ne dekhā hai aur aalam meñ
jae hai ji najat ke gham mein
aisi jannat gai jahannam mein
naza mein mere ek dam Thahro
dam abhi hain hazar ek dam mein
nal hum chhatiyon pe jaD ke phire
apne KHun-gashta dil ke matam mein
hai bahut jeb-chaaki hi jun subh
kya kiya jae fursat-e-kam mein
par ke thi be-kali qafas mein bahut
dekhiye ab ke gul ke mausam mein
aap mein hum nahin to kya hai ajab
dur us se raha hai kya hum mein
be-KHudi par na 'mir' ki jao
tum ne dekha hai aur aalam mein
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1202
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.