jab nasim-e-sahar udhar ja hai
jab nasīm-e-sahar udhar jā hai
ek sannāhaTā guzar jā hai
kyā us ā.īna-rū se kahiye haa.e
vo zabāñ kar ke phir mukar jā hai
jab se samjhā ki ham chalā.ū haiñ
hāl-pursī Tuk aa ke kar jā hai
vo khule baal sove hai shāyad
raat ko jī mirā bikhar jā hai
duur agarche gayā huuñ maiñ jī se
kab vatan mere ye ḳhabar jā hai
vo agar chit chaḌhā rahā aisā
āj-kal jī se mah utar jā hai
jī nahīñ 'mīr' meñ na bolo tund
baat kahte abhī vo mar jā hai
jab nasim-e-sahar udhar ja hai
ek sannahaTa guzar ja hai
kya us aaina-ru se kahiye hae
wo zaban kar ke phir mukar ja hai
jab se samjha ki hum chalau hain
haal-pursi Tuk aa ke kar ja hai
wo khule baal sowe hai shayad
raat ko ji mera bikhar ja hai
dur agarche gaya hun main ji se
kab watan mere ye KHabar ja hai
wo agar chit chaDha raha aisa
aaj-kal ji se mah utar ja hai
ji nahin 'mir' mein na bolo tund
baat kahte abhi wo mar ja hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.