ji ki lag bala hai koi dil jine se uTha baiTho
jī kī laag balā hai koī dil jiine se uThā baiTho
ho ke faqīr galī meñ kisū kī ranj uThāo jā baiTho
kyā dekho ho āgā-pīchhā 'ishq agar fil-vāqe' hai
ek dam us be-chashm-o-rū kī teġh tale bhī jā baiTho
ek samāñ thā vasl kā us ke sej pe so.e phūloñ kī
ab hai zamān-e-firāq bichhaune ḳhār-o-ḳhasak ke bichhā baiTho
kaam kī sūrat apne pyāre kyā bigḌī hai kyā kahiye
aao kabhū muddat meñ yaañ to achchhe muñh ko banā baiTho
TeḌhī chaal se us kī ḳhā.if chupke khaḌe kyā phirte ho
sīdhī sīdhī do-chār us ko jur.at kar ke sunā baiTho
TeḌhī bhaveñ dushman pe karo ho 'ishq-o-havas meñ tamīz karo
yā'nī teġh-e-sitam ek us ko chalte phirte lagā baiTho
niklā ḳhat-e-pusht-e-lab us kā ḳhizr-o-masīhā marne lage
sochte kyā ho 'mīr' 'abas ab zahr mañgā kar khā baiTho
ji ki lag bala hai koi dil jine se uTha baiTho
ho ke faqir gali mein kisu ki ranj uThao ja baiTho
kya dekho ho aaga-pichha 'ishq agar fil-waqe' hai
ek dam us be-chashm-o-ru ki tegh tale bhi ja baiTho
ek saman tha wasl ka us ke sej pe soe phulon ki
ab hai zaman-e-firaq bichhaune KHar-o-KHasak ke bichha baiTho
kaam ki surat apne pyare kya bigDi hai kya kahiye
aao kabhu muddat mein yan to achchhe munh ko bana baiTho
TeDhi chaal se us ki KHaif chupke khaDe kya phirte ho
sidhi sidhi do-chaar us ko jurat kar ke suna baiTho
TeDhi bhawen dushman pe karo ho 'ishq-o-hawas mein tamiz karo
ya'ni tegh-e-sitam ek us ko chalte phirte laga baiTho
nikla KHat-e-pusht-e-lab us ka KHizr-o-masiha marne lage
sochte kya ho 'mir' 'abas ab zahr manga kar kha baiTho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1479
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.