jo is shor se mir rota rahega
jo is shor se 'mīr' rotā rahegā
to ham-sāya kaahe ko sotā rahegā
maiñ vo rone vaalā jahāñ se chalā huuñ
jise abr har saal rotā rahegā
mujhe kaam rone se aksar hai nāseh
tū kab tak mire muñh ko dhotā rahegā
bas ai girya āñkheñ tirī kyā nahīñ haiñ
kahāñ tak jahāñ ko Dubotā rahegā
mire dil ne vo naala paidā kiyā hai
jaras ke bhī jo hosh khotā rahegā
tū yuuñ gāliyāñ ġhair ko shauq se de
hameñ kuchh kahegā to hotā rahegā
bas ai 'mīr' mizhgāñ se poñchh āñsuoñ ko
tū kab tak ye motī pirotā rahegā
jo is shor se 'mir' rota rahega
to ham-saya kahe ko sota rahega
main wo rone wala jahan se chala hun
jise abr har sal rota rahega
mujhe kaam rone se aksar hai naseh
tu kab tak mere munh ko dhota rahega
bas ai girya aankhen teri kya nahin hain
kahan tak jahan ko Dubota rahega
mere dil ne wo nala paida kiya hai
jaras ke bhi jo hosh khota rahega
tu yun galiyan ghair ko shauq se de
hamein kuchh kahega to hota rahega
bas ai 'mir' mizhgan se ponchh aansuon ko
tu kab tak ye moti pirota rahega
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0123
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.