jo motaqid nahin hai ali ke kamal ka
jo mo'taqid nahīñ hai alī ke kamāl kā
har baal us ke tan pe hai mūjib vabāl kā
izzat alī kī qadr alī kī bahut hai duur
morid hai zul-jalāl ke izz-o-jalāl kā
paayā alī ko jā ke mohammad ne us jagah
jis jā na thā lagāo gumān-o-ḳhayāl kā
rakhnā qadam pe us ke qadam kab malak se ho
maḳhlūq aadmī na huā aisī chaal kā
shaḳhsiyyat aisī kis kī thī ḳhatm-e-rusul ke baad
thā mashvarat-sharīk haq-e-lā-yazāl kā
toḌā butoñ ko dosh-e-nabī par qadam ko rakh
chhoḌā na naam ka.abe meñ kufr-o-zalāl kā
rāh-e-ḳhudā meñ un ne diyā apne bhī ta.iiñ
ye juud muñh to dekho kisū āshmāl kā
nisbat na bandagī kī huī jis kī vaañ durust
ronā mujhe hai hashr meñ us kī hī chaal kā
fikr-e-najāt 'mīr' ko kyā mad.h-ḳhvāñ hai vo
aulād kā alī kī mohammad kī aal kā
jo mo'taqid nahin hai ali ke kamal ka
har baal us ke tan pe hai mujib wabaal ka
izzat ali ki qadr ali ki bahut hai dur
morid hai zul-jalal ke izz-o-jalal ka
paya ali ko ja ke mohammad ne us jagah
jis ja na tha lagao guman-o-KHayal ka
rakhna qadam pe us ke qadam kab malak se ho
maKHluq aadmi na hua aisi chaal ka
shaKHsiyyat aisi kis ki thi KHatm-e-rusul ke baad
tha mashwarat-sharik haq-e-la-yazal ka
toDa buton ko dosh-e-nabi par qadam ko rakh
chhoDa na nam kabe mein kufr-o-zalal ka
rah-e-KHuda mein un ne diya apne bhi tain
ye jud munh to dekho kisu aashmal ka
nisbat na bandagi ki hui jis ki wan durust
rona mujhe hai hashr mein us ki hi chaal ka
fikr-e-najat 'mir' ko kya madh-KHwan hai wo
aulad ka ali ki mohammad ki aal ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0666
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.