kar-e-dil us mah-e-tamam se hai
kār-e-dil us mah-e-tamām se hai
kāhish ik roz mujh ko shaam se hai
tum nahīñ fitna-sāz sach sāhib
shahr pur-shor is ġhulām se hai
bosa le kar sarak gayā kal maiñ
kuchh kaho kaam apne kaam se hai
koī tujh sā bhī kaash tujh ko mile
mudda.ā ham ko intiqām se hai
kab vo maġhrūr ham se mil baiThā
nang jis ko hamāre naam se hai
ḳhush sar-anjām ve hī haiñ jin ko
iqtidā avvalīñ imaam se hai
sher mere haiñ sab ḳhavās-pasand
par mujhe guftugū avaam se hai
shaitanat se nahīñ hai ḳhālī shaiḳh
us kī paidā.ish ahtelām se hai
sar jhukā.ūñ to aur TeḌhe ho
kyā tumheñ chiḌ mire salām se hai
sahl hai 'mīr' kā samajhnā kyā
har suḳhan is kā ik maqām se hai
kar-e-dil us mah-e-tamam se hai
kahish ek roz mujh ko sham se hai
tum nahin fitna-saz sach sahib
shahr pur-shor is ghulam se hai
bosa le kar sarak gaya kal main
kuchh kaho kaam apne kaam se hai
koi tujh sa bhi kash tujh ko mile
muddaa hum ko intiqam se hai
kab wo maghrur hum se mil baiTha
nang jis ko hamare nam se hai
KHush sar-anjam we hi hain jin ko
iqtida awwalin imam se hai
sher mere hain sab KHawas-pasand
par mujhe guftugu awam se hai
shaitanat se nahin hai KHali shaiKH
us ki paidaish ahtelam se hai
sar jhukaun to aur TeDhe ho
kya tumhein chiD mere salam se hai
sahl hai 'mir' ka samajhna kya
har suKHan is ka ek maqam se hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1052
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.