kabhu mir is taraf aa kar jo chhati kuT jata hai
kabhū 'mīr' is taraf aa kar jo chhātī kuuT jaatā hai
ḳhudā shāhid hai apnā to kalejā TuuT jaatā hai
ḳharābī dil kī kyā amboh-e-dard-o-ġham se pūchho ho
vahī hālat hai jaise shahr lashkar luuT jaatā hai
shikast is rang aa.ī be-ḳhudī-e-ishq meñ dil par
nashe meñ mast se jaise ki shīsha phuuT jaatā hai
na yuuñ hove ki uTh jā.ūñ ki hai afsos kī jāgah
jab aisā tā.ir-e-ḳhush-lahja phañs kar chhūT jaatā hai
nahīñ kuchh aql meñ aatā ki dīvāna sā 'mīr' īdhar
kabhū aatā jo hai kīdhar ko maare zuuT jaatā hai
kabhu 'mir' is taraf aa kar jo chhati kuT jata hai
KHuda shahid hai apna to kaleja TuT jata hai
KHarabi dil ki kya amboh-e-dard-o-gham se puchho ho
wahi haalat hai jaise shahr lashkar luT jata hai
shikast is rang aai be-KHudi-e-ishq mein dil par
nashe mein mast se jaise ki shisha phuT jata hai
na yun howe ki uTh jaun ki hai afsos ki jagah
jab aisa tair-e-KHush-lahja phans kar chhuT jata hai
nahin kuchh aql mein aata ki diwana sa 'mir' idhar
kabhu aata jo hai kidhar ko mare zuT jata hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 1021
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.