KHilaf-e-wada bahut hue ho koi to wada wafa karo ab
ḳhilāf-e-va.ada bahut hue ho koī to va.ada vafā karo ab
milā ke āñkheñ daroġh kahnā kahāñ talak kuchh hayā karo ab
ḳhayāl rakhiye na sar-kashī kā suno ho sāhib ki piirī aa.ī
ḳhamīda qāmat bahut huā hai jhukā.e sar hī rahā karo ab
kahāñ hai tāqat jo 'mīr' kā dil sab in balāoñ kī taab laave
karishme ġhamze ko naaz se Tuk hamārī ḳhātir judā karo ab
KHilaf-e-wada bahut hue ho koi to wada wafa karo ab
mila ke aankhen darogh kahna kahan talak kuchh haya karo ab
KHayal rakhiye na sar-kashi ka suno ho sahib ki piri aai
KHamida qamat bahut hua hai jhukae sar hi raha karo ab
kahan hai taqat jo 'mir' ka dil sab in balaon ki tab lawe
karishme ghamze ko naz se Tuk hamari KHatir juda karo ab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1358
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.