KHurshid tere chehre ke aagu na aa sake
ḳhurshīd tere chehre ke aagū na aa sake
us ko jigar bhī shart hai jo taab lā sake
ham garm-rau haiñ rāh-e-fanā ke sharar-sifat
aise na jā.eñge ki koī khoj pā sake
ġhāfil na rahiyo āh-e-za.īfoñ se sar-kashāñ
tāqat hai is ko ye ki jahāñ ko jalā sake
merā jo bas chale to munādī kiyā karūñ
tā ab se dil na koī kisū se lagā sake
tadbīr-e-jeb-e-pāra nahīñ kartī fā.eda
nāseh jigar kā chaak silā jo silā sake
us kā kamāl charḳh pe sar khīñchtā nahīñ
apne ta.iiñ jo ḳhaak meñ koī milā sake
ye teġh hai ye tasht hai ye tū hai bul-havas
khānā tujhe harām hai jo zaḳhm khā sake
is rashk-e-āftāb ko dekhe to sharm se
māh-e-falak na shahr meñ muñh ko dikhā sake
qaaf
kyā dil-fareb jaa.e hai āfāq ham-nashīñ
do din ko yaañ jo aa.e so barsoñ na jā sake
mush'ir hai is pe murdan-e-dushvār-e-raftagāñ
ya.anī jahāñ se dil ko na āsāñ uThā sake
badlūñgā is ġhazal ke bhī maiñ qāfiye ko 'mīr'
phir fikr go na ohde se is ke bar aa sake
KHurshid tere chehre ke aagu na aa sake
us ko jigar bhi shart hai jo tab la sake
hum garm-rau hain rah-e-fana ke sharar-sifat
aise na jaenge ki koi khoj pa sake
ghafil na rahiyo aah-e-zaifon se sar-kashan
taqat hai is ko ye ki jahan ko jala sake
mera jo bas chale to munadi kiya karun
ta ab se dil na koi kisu se laga sake
tadbir-e-jeb-e-para nahin karti faeda
naseh jigar ka chaak sila jo sila sake
us ka kamal charKH pe sar khinchta nahin
apne tain jo KHak mein koi mila sake
ye tegh hai ye tasht hai ye tu hai bul-hawas
khana tujhe haram hai jo zaKHm kha sake
is rashk-e-aftab ko dekhe to sharm se
mah-e-falak na shahr mein munh ko dikha sake
qaf
kya dil-fareb jae hai aafaq ham-nashin
do din ko yan jo aae so barson na ja sake
mush'ir hai is pe murdan-e-dushwar-e-raftagan
yani jahan se dil ko na aasan uTha sake
badlunga is ghazal ke bhi main qafiye ko 'mir'
phir fikr go na ohde se is ke bar aa sake
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0587
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.