kiya ghairat se dil par tang ranj-o-gham ne duniya ko
kiyā ġhairat se dil par tang ranj-o-ġham ne duniyā ko
bas ab to khul ga.iiñ haiñ āñkheñ dekhā ham ne duniyā ko
rahā hai ek aalam aur duniyā-dāroñ meñ us kā
kiyā hai bevafā ma.alūm sab aalam ne duniyā ko
hamesha ronā kuḌhnā sīna-kūbī har zamāñ karnā
azā-ḳhāna kiyā dil ke mire mātam ne duniyā ko
sunā maiñ ne ki āḳhir haath uThāyā us ne duniyā se
agar paayā bhī mehnat kar kisū hamdam ne duniyā ko
zamīñ se āsmāñ tak 'mīr' hai shor-e-junūñ merā
tah-o-bālā kiyā donoñ meñ is ūdham ne duniyā ko
kiya ghairat se dil par tang ranj-o-gham ne duniya ko
bas ab to khul gain hain aankhen dekha hum ne duniya ko
raha hai ek aalam aur duniya-daron mein us ka
kiya hai bewafa malum sab aalam ne duniya ko
hamesha rona kuDhna sina-kubi har zaman karna
aza-KHana kiya dil ke mere matam ne duniya ko
suna main ne ki aaKHir hath uThaya us ne duniya se
agar paya bhi mehnat kar kisu hamdam ne duniya ko
zamin se aasman tak 'mir' hai shor-e-junun mera
tah-o-baala kiya donon mein is udham ne duniya ko
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1708
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.