kya kahun kaisa sitam ghaflat se mujh par ho gaya
kyā kahūñ kaisā sitam ġhaflat se mujh par ho gayā
qāfila jaatā rahā maiñ sub.h hote so gayā
be-kasī muddat talak barsā kī apnī gor par
jo hamārī ḳhaak par se ho ke guzrā ro gayā
kuchh ḳhatarnākī tarīq-e-ishq meñ pinhāñ nahīñ
khap gayā vo rāh-rau is raah ho kar jo gayā
mudda.ā jo hai so vo paayā nahīñ jaatā kahīñ
ek aalam justujū meñ jī ko apne kho gayā
'mīr' har-yak mauj meñ hai zulf hī kā sā dimāġh
jab se vo dariyā pe aa kar baal apne dho gayā
kya kahun kaisa sitam ghaflat se mujh par ho gaya
qafila jata raha main subh hote so gaya
be-kasi muddat talak barsa ki apni gor par
jo hamari KHak par se ho ke guzra ro gaya
kuchh KHatarnaki tariq-e-ishq mein pinhan nahin
khap gaya wo rah-rau is rah ho kar jo gaya
muddaa jo hai so wo paya nahin jata kahin
ek aalam justuju mein ji ko apne kho gaya
'mir' har-yak mauj mein hai zulf hi ka sa dimagh
jab se wo dariya pe aa kar baal apne dho gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0034
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.