Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kya jahan asar tha so ab wan ayan nahin

Meer Taqi Meer

kya kya jahan asar tha so ab wan ayan nahin

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kyā kyā jahāñ asar thā so ab vaañ ayaañ nahīñ

    jin ke nishāñ the fīloñ par un nishāñ nahīñ

    daftar bane kahānī banī masnavī huī

    kyā sharh-e-soz-e-ishq karūñ maiñ zabāñ nahīñ

    apnā haath sar pe rahā apne yaañ sadā

    mushfiq koī nahīñ hai koī mehrbāñ nahīñ

    hangāma-o-fasād baa.is hai vo kamar

    phir aap ḳhuub dekhiye to darmiyāñ nahīñ

    nikal gayā jo gayā yaar paas se

    jism-e-za.īf-o-zār meñ ab mere jaañ nahīñ

    hai ishq se chaar taraf bahs-o-guftugū

    shor is balā-e-jāñ jahāñ meñ kahāñ nahīñ

    is ahd ko na jāniye aglā ahd 'mīr'

    vo daur ab nahīñ vo zamīñ āsmāñ nahīñ

    kya kya jahan asar tha so ab wan ayan nahin

    jin ke nishan the filon par un ka nishan nahin

    daftar bane kahani bani masnawi hui

    kya sharh-e-soz-e-ishq karun main zaban nahin

    apna hi hath sar pe raha apne yan sada

    mushfiq koi nahin hai koi mehrban nahin

    hangama-o-fasad ki bais hai wo kamar

    phir aap KHub dekhiye to darmiyan nahin

    ji hi nikal gaya jo gaya yar pas se

    jism-e-zaif-o-zar mein ab mere jaan nahin

    hai ishq hi se chaar taraf bahs-o-guftugu

    shor is bala-e-jaan ka jahan mein kahan nahin

    is ahd ko na jaaniye agla sa ahd 'mir'

    wo daur ab nahin wo zamin aasman nahin

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0865
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now