kya zamana tha ki the dildar ke yaron mein hum
kyā zamāna thā ki the dildār ke yāroñ meñ ham
shohra-e-ālam the us ke nāz-bardāroñ meñ ham
ujḌī ujḌī bastī meñ duniyā kī jī lagtā nahīñ
tang aa.e haiñ bahut in chār-dīvāroñ meñ ham
jo yahī hai ġham alam ranj-o-qalaq hijrāñ kā to
zindagī se be-tavaqqo haiñ in āzāroñ meñ ham
shāyad aave hāl-pursī karne is ummīd par
kab se haiñ dārushshifā meñ us ke bīmāroñ meñ ham
dhuup meñ jalte haiñ pahroñ aage us ke 'mīr' jī
raftagī se dil kī Thahre haiñ gunahgāroñ meñ ham
kya zamana tha ki the dildar ke yaron mein hum
shohra-e-alam the us ke naz-bardaron mein hum
ujDi ujDi basti mein duniya ki ji lagta nahin
tang aae hain bahut in chaar-diwaron mein hum
jo yahi hai gham alam ranj-o-qalaq hijran ka to
zindagi se be-tawaqqo hain in aazaron mein hum
shayad aawe haal-pursi karne is ummid par
kab se hain darushshifa mein us ke bimaron mein hum
dhup mein jalte hain pahron aage us ke 'mir' ji
raftagi se dil ki Thahre hain gunahgaron mein hum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1841
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.